Nihanya's original views©

WELCOME TO THE WORLD OF MOBILE SMS
This site is containing Nihanya's personal life,thoughts,views.Jokes nd shayri on this blog nihanyasingh is © work of Nihanya singh.this blog also containing links of other blog which is created by me containing popular jokes,shayri etc. which is not mine work.

search the site

Search the Web here

Wednesday, December 22, 2010

Nihanya's shayri ©

Zindagi meri aansuo ki ik kahani hai..
jisme nahai meri jawani hai..
Is kahani ko mat mita mere dost..
bas ik yahi to meri nishani hai..
------------------------
Parvana kud gaya shama me..,
shama ko bujhta dekhkar...
Shama bujh gayi parvane ko marta dekhkar...
Bhar gayi aankhe aansuo me ..
Aisi beintha diwangi dekhkar :(
--------------------------
Meri aankh se tapka aansu sharab me gir gaya, jisne bhi us sharab ko piya zindagi bhar ka namak ek pal me le gaya...-
--------------------------
Mere muh se nikle shabd alankaar ban gaye...
meri aankh se nikle aansu moti ban kar haar ban gaye
--------------------------
Kaise sauda kar du mai apne gam ka chand khusiyo k liye..
Khushiya to chand lamho k liye hai par gam to umar bhar k liye hai..
--------------------------
wo puchte hai hame kya gam hai..
ise batane k liye aye humdam ye zindagi kam hai...
Gam ne mujhe panah di..
Gam ne mujhe dil me jagah di..
kaise dur kar du is gam ko apni zindagi se..
jisne mujhe jeene ki vajah di....
---------------------------
Dil pe unhone maar di Goli..
Dil se nikla khoon khoon ho gaya..
par fir bhi ek ashq na baha..
mere ishq ki yahi thi saza...
Gam hi gam hai Nihanya ki is zindagi me...
ye Gam kabhi kam na hoga..
jab kam hoga to gam hoga....
---------------------------
Meri zindagi aansuo ki ik kitaab hai..
jisme panne behisab hai..
Har panne ki ik kahani hai dost..
zindagi purani hokar bhi..
kahti har din ik nayi kahani hai dost..
----------------------------
Humko to naseeb ne maara hai...
aapne pathar mara to kya fark pada...
Lahoo to pahle se hi baha pada hai..
fir bhi maut se zindagi jeetne kar naara hai...
aapne hamare marne ki dua ki to kya fark pada..
sharir to pahle se hi mrit pada hai..ha ha........
-----------------------------
Sab kuch saamne hokar bhi...
bas kuch hi apna hai...
Beintha paani samundar me....
par kuch hi apna hai...
------------------------------
Raat kaali hokar meri zindagi me aai hai...
chandani ne mere aansu ko bahne ki raah dikhai hai...
-------------------------------
zindagi me itna andhera hai...
kuch samajh na aata hai..
jab samajh aata hai...
tab andhera apna jata hai..
-------------------------------
tanhaiyo me maine suraj ko chipte dekha hai..
zinde ko marte huye dekha hai..
zindagi maut hai..
or maut zindagi hai..
suraj ko maine fir se nikalte dekha hai..
--------------------------------
Patjhad ka mausam jeevan me aaya hai..
hari bhari zindagi ko sukhaya hai..
Raah me meri bich gaye hai sukhe patte..
zindagi meri surkh gulab sang kante..
--------------------------------
Zindagi mai akeli chali hu..
Raah me kisi se na dari hu..
jab dari hu..
to apne aap se dari hu..
---------------------------------
Zindagi meri ghayal si hai..
isme kahnak tuti payal si hai..
----------------------------------
Bhagte shahar me zindagi meri thami si hai..
Aaj bhi in aankho me nami si hai..
----------------------------------
Zindagi meri ik nasha hai..
bas nashe me maza hai..
bina iske to ye ik saza hai..
zeene ki meri bas yahi ik wazah hai..
-----------------------------------
Toot gayi mai itna..
jud na saki fir kabhi na..
Aansuo se ban gayi zindai ki ladi..
meri zindagi gamo se madi..
------------------------------------
Dekha zindagi me mayusi ko..
mujh par chhaate huye..
Maayusi ko bana liya..
Apna humdum maine na chahte huye..
-------------------------------------
Tanhai mere zeevan me itni hai..
saagar ki aasman chune ki tamanna jitni hai..
--------------------------------------
Zindagi me kai sidiya utar gayi..
jab kinara aaya ..
to mai bikhar gayi..
--------------------------------------
Gumnaam hum hai ..
Gumnaam zindagi hai..
badnaam hum hai..
badnaam zindagi hai..
--------------------------------------
Zindagi ki kitaab me humne dard likh diya..
chaand ki roshni me humne..
andhere ko apna humdard likh diya..
--------------------------------------
Maut se tanhai me nazar milai hai..
par maut ne humse aaj tak nazar bachai hai..
--------------------------------------
仝zindagi ki sadak par mai beecho beech baith gayi..
Peshani par lakire beecho beech baith gayi..仝
--------------------------------------
仝Aankho me sapne...
titliya bankar aaj bhi udte hai..
saagar me fulo k khilne ki..
tamanna aaj bhi uthti hai..仝
---------------------------------------
仝Akelapan mera saathi hai..
jo mere zeevan ki laathi hai..
Laathi tut jayegi..
zindagi akele hi saath jayegi..仝
---------------------------------------
仝Mai wo farishta hu..
Jo kaanto ka taaj pahanti hai..
Mai wo dard hu..
jo lahu ka libas pahanti hai..仝
----------------------------------------
仝Tanhai me khud me simat gayi hu mai...
Roti hui zindagi mai rokar..
khud hi chup ho gayi hu mai...仝
----------------------------------------
仝Mai gamo ki pari hu...
jo andhere me rahti hu..
Mai dard se bhari hu..
jo jakhm me hasti hu..仝
----------------------------------------
仝zindagi meri gamo ki saajish hai...
iski mujhse gahri ranjish hai...
Ab to is saajish ki ranjish me..
apni zindagi ki maachis hai..仝
----------------------------------------
仝zindagi k maidaan me...
dur tak akelapan hai..
Meri shaan me...
Ab to sirf mera pagalpan hai..仝
----------------------------------------
仝sangeet mera gamo ka sang meet hai..
isi k kaaran meri haar bhi jeet hai...仝
----------------------------------------
仝Har roz mai ik gunaah karti hu..
begunaah hokar bhi..
Duniya ki nazro me gunehgaar banti hu..仝
-----------------------------------------

2 comments:

  1. Pyaaar ke shama jalakar to dekho,
    zara dilka aashiyaan sajakar to dekho,
    tumhe ho na jaye ishq to kehna,
    zara hamse nazre milakar to dekho...

    ReplyDelete
  2. nazrose nazar mili to dil machal gaya,
    apke dil ki shama me dil jalke pighal gaya,
    kya kare kasoor hamara nahi nadaan dil ka hai,
    jo aapko dekha or dhadkana bhool gaya.

    ReplyDelete